Dosto aaj me Jo apko kahani sunane ja raha hu vo kahani ek parivar ki hai. Jo bohot badi mushkil me pad gaya tha uska karan me apko batata hu to suniye.
Ye parivar Maharashtra ke chote se gao me rehta tha. Vo vaha hasi- khusi raha karte the. Par unke jivan me dukh tab aya jab unhone kisi bikhari ko bhik na dene ki galti kar di.
Ek din subah- subah ye parivar apne- apne kaam par Jane ko tayar ho raha tha. Tabhi darwaze ki khat khatane ki awaz ayi. darwaza parivar ke mukhiya vivek ne khola. Jab usne darwaza khola to usne dekha ki ek bikhari haat me katora liye usse Khane ke liye rooti manag raha tha. Par vivek ne use rooti na dekar paise de diye par bikhari ne paise lene se mana kar diya or keval rooti Khane ko bola.
Vivek ne usko samjhaya ki rooti ghar me nahi hai par bikhari ne usse sirf rooti Khane ki hi maang ki.
Vivek ne usko samjhaya ki rooti ghar me nahi hai par bikhari ne usse sirf rooti Khane ki hi maang ki.
Isse vivek ko ghussa agaya or usne usko dhaka de kar darwaza band kar diya or apne kaam me lag gaya.
Kuch din bitne ke baad uske ghar me kuch bhi thick nahi ho raha tha or us ghatna ke baad rooz uske ghar ke bahar raat ko koi bohot der tak darwaza khat khatata rehta par darwaza kholne par koi nahi dikhta tha.
Ghar ke bartan apne aap girne lagte the. Ghar ki chize ulti- Sidhi rakhi rehti thi jise thick karne par vo Baar Baar vesi hi ho jati. Yaha tak ki raat ko vivek ke bacho ko bhoot bhi dikte the. Ye sab hone ke baad vivek. Tang agaya or ek baba ke pass gaya or sari baat batayi. Baba ne pucha ki kya koi bikhari tumhare pass roti mangne aya tha to vivek ne kaha ki haan aya to tha par mene usko rooti nahi diya or bahar bhaga diya.
Ye sunte hi baba ne kaha ki jisko tumne bahar bhagaya asal me vo ek aatma thi jo haar saal ek baar kisi ke ghar ja kar rooti mangti hai . Jo usko rooti de deta vo uska jivan khushiyo se Bhar Deta hai par Jo use roti nahi deta vo uski zindgi ko kharab kar Deta hai. Vahi galti tumne bhi ki hai.
Jab vivek ne ye pucha ki ab use kya karna chahiye to baba ne Kaha ki aaj raat tum apne darwze ke bahar 3 rooti or 3 mirch sath me rakh dena. Tumhari mushkil hal ho jayegi.
Vivek ne us raat yahi kiya jab vo subah utha to usne dekha ki rooti gayab thi or us din se uske ghar me koi aisi ghatna nahi ghati.
Isi liye ghar pe aye bikhari ko kabhi khali haat nahi lotana chahiye.
Ye post padhne ke liye apka dhanyawad.
Bhoot ne Liya bhukhe bikhari ka roop
Reviewed by Blogger
on
02:27
Rating:
No comments: