हम लोग अब अपनी कहानियाँ Youtube पर डालते है ताकि और मनोरंजन हो। अभी हमारा Youtube Channel Subscribe करे यहाँ से --https://youtu.be/KN1WqT_DYRg

darawna mandir Ek Asli Bhoot Ki Kahani

Dosto me apko apne ek bhaiya ki kahani sunane wala hu jinka naam suraj hai.
Suraj bhaiya jharkhand ke rehne wale hai or vo football ke champion hai.


Vaise vo delhi me hi rehte hai par vo kabhi kabhi apne gao jharkhand chale jate hai.
Ye ghatan vahi ki hai. Jab vo kuch din bitane ke liye jharkhand gaye the
Ek din unke gao ke bahar football ka match tha.
Gao se bahar niklne ke liye unhe ek ghana jungle par karna hota hai.
Is liye vo subah- subah hi nikel gaye.
Unka football ka match bohot deri se chala or us waqat thand ka season tha is liye andhera jaldi ho jata tha.
Unka match 8 baje khatam hua.
Match khatam hone ke baad unke team walo ne bhaiya ko ghar tak gadi me drop karne ko kaha par vo jungle tak hi utar gaye or agge chale gaye.
Abhi adha jungle paar bhi nahi hua tha ki unko raste me ek mandir dikhai diya.
Bhaiya soch me pad gaye kyuki us raste me koi mandir hi nahi tha or jab vo subah arahe the to tab bhi vo mandir raste me nahi tha.
image
Tabbhi unhone iski jyada fikar nahi ki kyu ki vo bohot thak chuke the is liye unhone socha ki thoda sa mandir me hi kyu na aaram kar liya jaye.
Vo mandir ke sidhiyo par ja kar beth gaye.
Thode der baad unko esa laga jese mandir ke piche koi jhadu laga raha ho.
image
Usliye bhaiya usi taraf badhne lage. Lekin unke chalne ki awaz sun kar jhadu marne ki awaz bhi ruk gayi.
Lekin jab vo chalna rokte the to jhadu marne ki awaz fir suru ho jati thi.
Lekin bhaiya kaise bhi kar ke dhire- dhire aage badh hi gaye or jab unhone dekha ki ek budhi oorat vo jhadu laga rahi thi tab.
Unhone usko awaz lagai par vo kuch jawab nahi de rahi thi.
Vo or uske pas gaye or unko awaz laya fir bhi vo oorat koi jawab nahi de rahi.
Bhaiya ghusse me akar us bhudhiya ke samne agye.

Lekin us budhiya ka chehra dekh kar bahiya ki ankhe band ho gayi.
Vo bata rahe the ki uska chehra itna bhayanak tha ki unke anke apne aap band hogai or kulne ka naam nahi le rahi thi.
Lekin jaab bhaiya ne apni ankhe kholi to unhone apne aap ko ghar par paya. Unko kuch samjh nahi araha tha to vo bhag kar apne kuch dosto ke sath usi jagah par jaye jahan vo mandir tha par vaha unko kuch nahi mila.
Magar vaha unko usi jagah par ek football mila jo vo apne sath le gaye the or Galti se wahi par chute
Gaya hoga.
Is ghatana ko bhaiya abhi tak sochte rehte hai or ye sochte hai ki kya ye sach tha ya ek vehem tha.
Dosto apko kya lagta hai please comment kare or kahani ke bare me apni raye de.
Thankyou
darawna mandir Ek Asli Bhoot Ki Kahani darawna mandir Ek Asli Bhoot Ki Kahani Reviewed by Blogger on 02:14 Rating: 5

No comments: